In the beginning the Universe was created. This has made a lot of people very angry and been widely regarded as a bad move. - Douglas Adams

Thursday, October 14, 2004

Jagjit and Kaifi Azmi: An amazing combination

Koi yeh kaise bataye ki woh tanha kyun hai?
Woh jo apna tha wohi aur kisi ka kyun hai?
Yahi duniya hai toh phir aisi yeh duniya kyun hai?
Yahi hota hai toh aakhir yahi hota kyun hai?

Ek zara haath badha de toh pakad le daaman
Uske seene mein samaa jaaye hamari dhadkan
Itni kurbat hai toh phir faasla itna kyun hai?

Dil-e-barbad se nikala nahin ab tak koi
Ek lute ghar pe diya karta hai dastak koi
Aas jo toot gayi phir se bandhata kyun hai?

Tum marsarat ka kaho ya kaho isse gam ka rishta
Kehte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta
Hai janam ka jo yeh rishta toh badalta kyun hai?

Such amazing lyrics. They mean so much. Say so much... This one is from the movie 'Arth'. Jagjit has rendered it really really well. You should really hear it out. Ask Ajit. I hear it every day. Poor guy gets so bugged after a while. But then.. thats me.. I bug the hell out of people ;)

|